All things interesting …

  • Home
  • About
  • Uncategorized
  • Nadi ya taalaab (Hindi)
  • Tapas ( Hindi)
  • Life goes on
  • Forever more
  • Flowers on a hillside
  • Depart
  • Sunlight
  • Contact
  • Binduon se banein lakeerein ( Hindi)
  • Retold
  • Sketches and Paintings
  • Live as one
  • Starlight
  • Stories
    • Spring cleaning
    • The power of here and now
    • Synapse
    • Nature in contrast
    • Of the snuggly mouse and her man
    • Kalawati
  • Zindagi ek daud
  • Binduon se banein lakeerein ( Hindi)
  • Nadi ya taalaab (Hindi)
  • Tapas ( Hindi)
  • Uncategorized
  • Home
  • Blog
  • Uncategorized

  • Bacche

    Life hai sooni si 

    Aur mausam hai thanda 

    Na aadmi ki jaat na koi parinda 

    Patte hain sookhe se 

    Honth aur baal bhi rookhe se 

    Magar …

    Hawa hai taazi 

    Aur garden mein

    Bacche hain Khel mein khoye 

    Football ko maarte hue Idhar se udhar 

    Udhar se idhar 

    Kabhi dikhte hain 

    Kabhi ojhal hote 

    Kitne naadaan kitne aasaan va saral 

    Jo Saamne hai vo hai 

    Jo nahi vo tho jaise kuchh hai he nahi 

    Hamesha vartmaan he

    Hai Inke dhyaan mein

    Ball jab tak khelte hain 

    Jhelte hain thand garmi hawa aur baarish

    Khel khatam hone par hoti hai snack ki khwahish

    Har waqt Yaha, abhi, iss dum 

    Bus wo aur ye pal.

    November 25, 2022

  • Hawa

    चकाचौंध सी ये रात कि स्याही

    आँखें मूँदता है बदन

    रोशनी – ये शर्मायी सी छिपी सी खड़ी थी दिन कि धुँधलाहट में

    इंतज़ार में

    pyar se Karne lagi mujhse sawaal

    ki tum kaun ho 

    Kya hai tumhara kaam yaha 

    Ye maloom nahi tho fir yaha kyu aur kaise

    Kuchh asafal si dikhti ho, kuchh asahaay si bhi

    Kissne bulwaya tumhein iss jahaan mein

    Kissne di panaah ki abhi tak zinda ho 

    Kya hai wo Paigaam jo tumhare Alawa koi aur nahi de paata  

    Intezaar kisska hai , betalbi kyu hai , shuruaat mein deri kya hai , thehri si sehmi si kyu ho

    Shukreguzaar hoon 

    bahut he kadradaan hoon aaj kal

     ki zubaan pe ik Dua si hai 

    Ki Jin adhuri khwahishon  se man rehta tha bechain 

    unhi chahato ko poora hote dekh rahi hoon mai 

    Ek Ajab si khushi , ek Muskaan Aati hai yehi soch kar labo pe 

    Ki jiss soch mein guzra abhi tak gham-e-zamaana

    Wo bani aaj haathon ki lakeeron mein likhi ghazal 

    Nason mein inaayat ya ibaadat si behti hai

    Bhar deti hai dil 

    Aankhein bhi geeli geeli ho Leti hain 

    Shukreguzaari ki ye aadat

    Khushi apne aap hamare ghar aagan mein raha karti hai

    Aaj kal kuchh Hawa he Aisi hai chali 

    Kuchh Mausam he hai badla sa

    Kuchh shaakhein bhi hain nangi si

    Kuchh shokhiyaan bhi hain sard si 

    Kuchh oas bhi hai Ghaas pe 

    Kuchh hosh bhi hai hum udaas bhi 

    Kuchh patte peele se

    Kuchh hai ve dheele se

    Hawa mein udein baarish ki boondein 

    Aasman se tange wo baadal 

    Kuchh thand si hai aaj kal hawa mein 

    Kuchh shushk se hain honth bhi 

    Kuchh narm si hai Zameen yaha

    Kuchh asar hai judaai ka 

    Jaise haath failaye Khade hai darakht

    Baraf ki parto ki chadar ke liye 

    Kuchh mahino baad sehi 

    Aaogi tho udhaogi tho 

    Dhakogi tho iss kurhkurhaati thand mein

    Pakdogi tho haath

    Dogi na saath 

    Saawan tak

    Jab chidiya fir cheh chahaengi 

    Phoolo ki kaliya jo bhool si gayi thi mujhe 

    Mujhe door se dekhte he sharmaengi aur khil-khilaengi bahut

    Aur chalta rahega ye silasila iss patjhad ki hawa ki tarah 

    Behta rahega

    Har saawan se 

    Saawan tak .

    November 21, 2022

  • Chipping away and pitfalls

    Not very long ago did I start something called ‘tapping’. It was intended to release blocked emotions and indirectly relieve my frozen shoulder pain. A very clever lady called Kanika Gupta started me off on it.

    With her I am learning the art of chipping away at a mountain and staying at it. The staying part is very hard for me. My mind wanders frequently; away from the chipping and into standing beside the mountain and looking to the top and feeling less , a feeling that I am nowhere close to where I want to be. Sometimes the feeling is similar to having been trapped for aeons in shackles, someone who has recently been awarded freedom to be in normal day light, normal air and with normal people.

    Normal people… why even expect the world from them ? The nurture and support. The Universe provides that anyway.

    To be continued…

    March 3, 2022

  • For a happy new year 2022

    Go less with the flow

    Carve your own path a bit more

    Think a bit less

    Do a lot more

    Commit yourself

    Fear a lot less

    Look within a bit more

    To others a little less

    Move a lot more

    Stand aside and watch yourself grow

    January 1, 2022

  • The pleasure of your company

    Its indescribable warmth and camaraderie

    Everything looks beautiful in togetherness

    To be cherished

    forever

    These moments of love and harmony

    To be re-lived

    forever.

    February 28, 2021

  • Through my menopause-tinted glasses

    Life feels like a whirr when it’s not slow

    Take it easy, says my soul

    Not too much talking, not too much walking or running around

    Easy does it, says the mind.

    So relax my friend,take a deep deep inhale

    Let go of the past and surrender to the moment

    Let the future unfold as it will

    Stand not in its way

    Sit back and enjoy this ride

    The bumpity rumble and tumble

    You are half way there and all is well

    As far as the mind can see

    Take your time

    Enjoy the hues, the blues, the views

    And love the tide

    Let the waves come rolling at your feet

    Feel the sand beneath

    Leave your footprint behind

    Sandcastles too

    Let the waves come rolling in

    For no one can control the tide

    So surrender

    Accept and love

    Take a few deep breaths when things don’t go right and let go of hurt

    Glide into the future

    Gleam bright and shine your light !

    February 28, 2021

  • Mere mata pita

    Hamesha mere saath

    Hamesha saath nibhane wale

    Kabhi bhi haath nahi chhoda

    Pal pos kar bada kiya, apna jo kuchh tha sab kuchh de diya

    Waqt, himmat, pyar, dulaar, acche bure sanskaar, khushi se jeene ka dhang, sehat ka khayaal karna vagehra sab kuchh sikhaya

    Kabhi kuchh nahi maanga, sirf diya

    Aur hamare liye kiya

    Tum dono ne he bahut kiya hum sab ke liye

    Hum kabhi itna nahi de paaye tumhein, ek rinh hai hum pe wo

    Bus yaad karke, naman karke apni zindagi tumhare dikhaye hue raste aur sikhaye hue adarsho se chal paayein, wo he de sakenge tumhein hum iss janam mein.

    February 20, 2021

  • Kaali syah raat … a page from an insomniac’s diary

    Jab din mein bhi ho

    Raaton ka andhera aankhon mein

    ek aur raat jab neend khele aankh micholi

    Mastishq bhi khele buri yaado se badrang rango ki holi

    Aur zehen mein reh jaaein adhuri chaahtein.

    Magar aarzu ye hai ki fir aaye saawan ghoom ke ik din

    Jab shaam hote he sapne humein bhi Karein yaad

    Yaadon mein bhi bhare rang bemisaal

    Aur jaise bhaang ke se nashe mein jhoome mera mann aaj

    Aisi Khoobsurat khwahishon ki imaarat khadi ki Maine.

    Fir ek din sacchai se hui ittefaq se mulaquat…

    Aankho mein Mili andhiyari raat

    Raat ke andhere mein Chhupe hue ashq

    Ashquon mein dabe hue, dhanse hue khwaab

    Khwaabon mein bahut sara hansna, khelna, dena aur paana

    Pyaar he pyaar

    Jab mitt jayenge hum yaha se, iss jahaan se

    Sapne mil jaayenge mitti mein

    Raakh ho jayenge jab sab gilaah shikwe

    Tab ek aisi neend aayegi

    Ki koi bhi shor, sharaarat, soch

    In sapno mein rehne se rok nahi paayegi

    Aisi ek Kali Syah Raat

    …

    February 15, 2021

Previous Page Next Page

Website Powered by WordPress.com.

 

Loading Comments...
 

    • Subscribe Subscribed
      • All things interesting ...
      • Already have a WordPress.com account? Log in now.
      • All things interesting ...
      • Subscribe Subscribed
      • Sign up
      • Log in
      • Report this content
      • View site in Reader
      • Manage subscriptions
      • Collapse this bar